Search This Blog

Mirza Hussnain Azam

Mirza Hussnain Azam Poetry

Mirza Hussnain Azam is an upcoming young poet from the city of Jhelum. He has been writing poetry from early years of his life.

Zamane wale kabhi bhi apne nahin hote

Mirza Hussnain Azam Poetry

Zamane wale kabhi bhi apne nahin hote
Har jai chehre wafa ka pekar nahin hote
Jin k pass hoti hain umer bhar ki yadain
Wo log tanhai me bhi tanha nahin hote
Na daikh yon kisi ghareeb ko nech nazroon se
Koi majbori na ho to hath phele nahin jate
Waste daite hain abb Khoda k tujhe
Aur hum se abb jabar sehne nahin hote
Shaid ajj me tere naseeb me hota
Agar tum mere ansaon par hanse nahin hote
Bhool jate hain jo apni mohabbat ko
Ankhon me un k anso nahin hote
Photata hai jin k andar chashma mohabbat ka
Daman un k kabhi mele nahin hote
HUSSNAIN chahte hain jo kisi ko sache dil se
Aik din k wo mehtaj nahin hote

Zarori nahin hai talwar se zair karne ki

Mirza Hussnain Azam Poetry

Zarori nahin hai talwar se zair karne ki,
Mere dushmin ki haar k lie meri jeet hi bahot hai..


Meri ankhon me najane kia parh raha tha

Mirza Hussnain Azam Poetry

Meri ankhon me najane kia parh raha tha
Shaid uss me apna naam parh raha tha
Yee daikh kar uss ka wajood bhi kanp otha
Mujh pe beti hoi jab dastan parh raha tha
Judai ki afat bhi usi waqt hi ai thi
Jab wo mere hath ki lakerain parh raha tha
Pal bhar k lie bhi kia use meri yaad na ai
Uss shajar par likha jab apna naam parh raha tha
Shaid yakeen aa hi gea tha mere piar par use
Jab lahoo se likha mera khat parh raha tha
HUSSNAIN mehsos ho rahi thi use apni zaat bhi
Mere sene ki jab wo dharkan parh raha tha


Mere dil me chope hoe raaz mangati hai

Mirza Hussnain Azam Poetry

Mere dil me chope hoe raaz mangati hai
Wo pagali ! mujh se meri jaan mangati hai
Rakhtati hai hasas apni samat ko wo
Samandar ki lehron se khamoshi mangati hai
Ajab faryad karti hai wo Khoda se
Hath otha kar meri moot ki dua mangati hai
Karti hai koshishen k mil jae use kahen se wafa
Kitni nadan hai sehra se samandar mangati hai
Kehti hai k abb mata do apni zindagi se mujhe
Mujh se meri zaat ka ikhtiyar mangati hai
Koi to samjha de yaro use yee hai pagal pan
Raat ki andhairi se jab subah ka ojhala mangati hai
Hoti hai pehle khod hi door mujh se
Phir wo judai ka sabab bhi mangati hai
Mangati hai wo apni sari yadain wapis
Mujh se meri zindagi ka asasa mangati hai
Rakhati hai gire hoe paton ko shajar par
Khazan k mosam me bhi khile gulab mangati hai
Koi to jala de meri zindagi ki shamah
Dunia abb bad naseebi k raz mangati hai

Hum safar le chale wahan ,jahan tere siwa kuch na ho

Mirza Hussnain Azam Poetry

Hum safar le chale wahan ,jahan tere siwa kuch na ho
Jahan qaid na ho umer ki
Jahan qemat na ho jazbon ki
Jahan hawas na ho chahat ki
Jahan mohtaji na ho lafzon ki
Hum safar le chale wahan ,jahan tere siwa kuch na ho
Jahan koel geet gati ho
Jahan hawa raqas karti ho
Jahan pareem ki nadiya behti ho
Jahan chaman khoshiyan manati ho
Hum safar le chale wahan ,jahan tere siwa kuch na ho
Tere lamas ki chahat nahin
Tere jisam ki bhook nahin
Tere honton ki lalach nahin
Tere joban ki pias nahin
Hum safar le chale wahan ,jahan tere siwa kuch na ho
Apni chahaton ki roshani de
Apni sochon ki tamtamahat de
Apni sakot ka biyan de
Apni dharkanon ka qarar de

Mehsos hota hai dard dil ka

Mirza Hussnain Azam Poetry

Mehsos hota hai dard dil ka
Yaad karta hon jab tumhen dil me
Karne gea tha tujh se izhar-e-mohabbat
Reh gai dil ki batain mere dil me
Bholana jo chaha har aik ka chehra to
Bus gai sirf teri sorat kahen dil me
Chor dia hai mene abb har aik ko
Basaea tha zamane ko kabhi dil me
Kabhi zarorat parhi to shaid kaam hi aa jae
Tere thane sambhal rakhe hain dil me
Kabhi milen fursaten to loot ana tum
Jaga bacha rakhi hai abb bhi dil me
Na poch yee sun kar takleef hi ho gi
Tere ghamon ko chopa rakha hai dil me
Jo suna hai kia such suna hai?
Bus gae ho tum kisi ghair k dil me
HUSSNAIN zamane ko kahin khabar hi na ho jae
Chopae rakhate hain har khawaish dil me

Loot ao

Mirza Hussnain Azam Poetry

Loot ao…
K zindagi ki raah me…
Mohabbaton ki chah me…
Ghairon ki panah me…
Koi akela hai tujh bin…
Loot ao…
K zakhamon k ghao me…
Sulagti dhop k jhalao me…
Waqt k bahao me…
Koi akela hai tujh bin…
Kisi ki sans laina tak dushwar ho gea…
Loot ao…
K kahen sanson ki door na jae…
K akhen mohabbat siraf hasrat hi ban k na reh jae…
Loot ao…

Uss ki majbori ka mujh ko ehsas bahot hai

Mirza Hussnain Azam Poetry

Uss ki majbori ka mujh ko ehsas bahot hai
Judai ki aziyat me bhi lutaf bahot hai
Koshish bahot ki k mata sakon un ko
Tere mere bech phir bhi fasala bahot hai
Zarori nahin hai kisi talwar se zeer karne ki
Mere dushman ki haar k lie meri jeet hi bahot hai
Chor dia hath uss ka bus yahi keh kar
Teri har khoshi mujh ko anmol bahot hai
Na samajh yon k kahen mur jaen ge tere Bin
Tere intazar k lie meri sans bahot hai
Hath nahin phelata abb kahen bhi ja k
Nawazne k lie aik hi zaat bahot hai
Karta hon bus me hi tujh ko mohabbat
To bhi mujh ko chahe ye hasrat bahot hai
Zarori nahin hai kisi ko noha sunane ki
Annso girane k lie meri dastan hi bahot hai
Chor de abb har kisi ka hath thamana
Tujhe chahne k lie HUSSNAIN bahot hai
Yakeen aa gea hai HUSSNAIN abb hum ko bhi
Mohabbat k raste par chalana dushwar bahot hai

Sar-e-mehfil eman ka soda hote hoe daikha

Mirza Hussnain Azam Poetry

Sar-e-mehfil eman ka soda hote hoe daikha
Insan ko hewan bante hoe daikha
Nahin hai yaad abb hum ko kahen bhi khof-e-Khoda
Jhooti gawahi jab Quran par laite hoe daikha
Abb Khoda ! kia uss se bhi bari gumrahi hogi
Zor-e-bazo se bint-e-Hawa ko nachate hoe daikha
Jo orakh rakhate hain labada parheez gari ka
Raton ko me-khane se inhain nikalte hoe daikha
Agar sunta hai to hi har kisi ki dua ko
Kion phir logon ko aoron se mangate hoe daikha hai
HUSSNAIN aoqat kia hai teri uss zaat k age
Uss dar pe to shehan-shahon ko jhokate daikha hai

Abb bhola do mujh ko

Mirza Hussnain Azam Poetry

Abb bhola do mujh ko…
Kisi kamzoor lamhe ki tarah…
Kisi bête hoe sawan ki tarah…
Kisi kai hoi achai ki tarah…
Kisi guzare hoe sawan ki tarah…
Kisi bachpan me suni hoi kahani ki tarah…
Kisi la jawab karte hoe sawal ki tarah…
Kisi gungunae hoe geet ki tarah…
Kisi gire hoe annso ki tarah…
Abb bhola do mjujh ko…
Bhola do…

Khawabon se haqeqat me ane me bhi dair kitani lagati hai

Mirza Hussnain Azam Poetry

Khawabon se haqeqat me ane me bhi dair kitani lagati hai
Kisi ko apna bana k chor daine me bhi dair kitni lagati hai
Ye hamara zabat hai k hum chopa laite hain anso
Warna barish ko barasne me bhi dair kitani lagati hai
Nafraton k sukh bhi hum ne khoshi se apna lie
Nafrat ko mohabbat me badalne me bhi dair kitani lagati hai
Abb to aa jao k kahen mar na jae bin tere
Jisam se rooh nikalne me bhi dair kitani lagai hai
Ye hamari olfat thi k kabhi socha na kisi aur ko
Kisi aur ka hath thamane me bhi dair kitani lagati hai
Wo jhote kise jo sunae the to ne doston ko
Afsanawi kahaniyan likhane me bhi dair kitani lagati hai
Dua nahin mangata hon Khoda se tujhe pane ki
Warna Khoda ka hukam pura hone me bhi dair kitni lagati hai
Maan li thi baat tumhari bicharte waqt hum ne
Zid par arr jane me bhi dair kitni lagati hai
Ye bhi acha hoa k sunai na dastan-e-gham hum ne
Warna qeyamat ko barpa hone me bhi dair kitani lagati hai
Tere beghair aik pal bhi sadiyon k mutradif hai
Waqt ki raftaar taiz hone me bhi dair kitni lagati hai
Tujh se bichar k bhi na kie uss dil ne gile
Warna shikawe karne me bhi dair kitni lagati hai
Ye alag bat hai k bholate nahin hain tum ko
Tere jaison ko bholane me bhi dair kitni lagati hai
Teri deed ki pias k lie hi na chora ye ghar
Tabah haal sheher chorane me bhi dair kitani lagati hai
Ye bhi acha hai k tum yaad karti nahin purani batain
Ghalti ka ehsas hone me bhi dair kitni lagati hai
HUSSNAIN gharor na kar apni haseen sorat par
Chand ko garehan lagne me bhi dair kitni lagati hai

Magar tum se

Mirza Hussnain Azam Poetry

Yad hai tum ko…
Wo campus ka peer…
Sae me jiss k betha karte the…
Aur ‘’TUM’’ balon me hath pherate
Pocha karti thi…
Kia tum mera sath umer bhar nibhao ge???
Kia tanhaiyon k sehra me choor to nahin jao ge???
Kia mere lie zamane se takra jao ge?
Aur phir…
Wohi howa na…
Takara gea na…
Zamane se nahin…
‘’Magar tum se’’
Han……
‘’Magar tum se’’

Teri yadon k sahare aik aur saal beet gea

Mirza Hussnain Azam Poetry

Teri yadon k sahare aik aur saal beet gea
Teri nafraton k sahare aik aur saal beet gea
Wo din jab pass hoa karte the hum kabhi
Unhi dinon ko soch kar hi aik aur saal beet gea
Suni thi to ne jo kabhi ghairon ki batain
Wo sach thi ya jhoot ,isi kashmakash me hi aik aur saal beet gea
Kia kya uss baras tujh se mohabbat k siwa
Iss be basi ko sochate hi aik aur saal beet gea
Tere dil me kia mokam tha mera?
Wohi oqat sochate hi aik aur saal beet gea
Para hai jo meri kitab main wo akhari khat
Onhi ilfaz ko parhate hi aik aur saal beet gea
Jo karti thi mujh se mohabbat ya majboor thi ana k hathon
Inhi majboriyon ko sochate hi aik aur saal beet gea
Hoi thi akhari molaqat ,college k peer k niche
Usi moatabar peer k niche hi aik aur saal beet gea
Iss saal bahot zakham khae hain doston se
Inhi zakhmon ko daikhate hi aik aur saal beet gea

Tum kon ho?

Mirza Hussnain Azam Poetry

Tum kon ho?
Tum se mera rishta kia hai?
Tum meri akhir lagti kia ho?
Ye kaisa rishta hai?
Kia bat hai iss me…
Jo nahin hai kisi bhi rishte me?
Jis k yaad ane par…
Lagati hai apni zaat bhi adhori si
Jis k yaad ane par…
Lagati hai ye dunia bhi be maini se
Akhir tum kon ho?
Meri ragon me otar gai kion?
Meri ankhon me sama gai kion?
Meri Duaon me bus gai kion?
Akhir tum ho kon???

Mujhe milne ai wo akhari bar

Mirza Hussnain Azam Poetry

Mujhe milne ai wo akhari bar
Ashkon ki barish hoi akhari bar
Uss din bhi ai wo bari dair se
Mene kia us ka intazar akhari bar
Pagalon ki tarah wo daikhati rahi idher odher
Ana ki hadain jo toren thin akhari bar
Dar dar k apne ansaon se HUSSNAIN
Kitab-e-mazi ko khola ajj akhari bar

0 comments:

Post a Comment